Save info   Get password
Home Submit your blog Edit Account Rules RSS-Archive Contact


Ghar ki fikr to us ko ho gi
2007-11-19 02:40:49
Mujh main rehnay ki khatir tum aaye Is say pehlay keh main derwaza kholoon, kuch boloon Afwaahon ki gard main liptay Zeher alood mohabbat naamay liye huay tum Udhray huay rishton kay jaalay siye huay tum Mujh main aan samaaye Main rehnay kay liye bana hoon Jo bhi aaye mujh main reh jaye Mujhay sajaye Jitna pyar karay utna sukh paaye Tum say pehlay bhi kuch log yunhi aaye thay Apnay andar mujh main tabdeeli kay khuab saja laye thay Aur phir jis nay bhi jo ehd kia wo tor dia Jis nay bhi jo baat ki wo rud ker di Lekin tum nay to hud ker di Meray din weeran huay hain Meri subh kay chehray per kai rutoon kay zakhm lagay hain Meri sham udaas khari hai Meray ufaq pe sooraj lahoolahan para hai Darwazon say mera aik aik raaz afsha hai Meray sehen main dushmanon ki sazish ruqsaan hai Suna hai ab is haal main Mujh ko chor ke tum janay walay ho Meray bahir beth ker Mei yaad ka ghum khanay walay ho Tum say aur umeed bhi kia thi Tum bhi zamanay walay ho Jub tuk ishq say ishq nahin milta Tunha dukh


Saiyan zaat adhoori hay
2007-11-18 16:15:06
Saiyan zaat adhoori hai + Saiyan baat adhoori hai Saiyan raat adhoori hai + Saiyan maat adhoori hai Dushman chaukanna hai laikan + Saiyan ghaat adhori hai Saiyan ranj malal bohat + Dewanay be haal bohat Qadam qadam per jaal bohat + Pyar muhabbat kaal bohat Aur isi aalam mein saiyan + Guzar gaye hain saal bohat Saiyan har soo dard bohat + Mausam mausam sard bohat Rasta rasta gard bohat. + Chehra chehra zard bohat Aur sitam dhaanay ki khatar + Tera ik ik fard bohat Saiyan teray shehar bohat + Gali gali mein zehar bohat Khof zada hay dehar bohat + Us pe tera qehar bohat Kali Ratein itni kiyon + Hum ko ik he pehar bohat Saiyan dil majboor bohat + Roh bhi choor o choor bohat Paishani be noor bohat + Aur lamhay maghroor bohat Aisay mushkil aalam mein + Tu bhi hum se door bohat Saiyan rahein tang bohat + Dil kam hain aur sang bohat Phir bhi teray rung bohat + Khalqat sari dung bohat Saiyan tum ko aatay hain + Behlanay kay dhung bohat Saiyan mairay taaray gum + Raat kay chund saharay gum Saray


Ik Inshah Naam ka Deewana
2007-11-18 16:13:53
Iss Basti ke Ik koochey mein , Ik Inshah Naam ka Deewana Ik naar pe jaan ko Har gaya , mash’hoor hai uss ka afsaana Uss naar mein aisa roop na tha , jis roop se din ki dhoop dabbey Iss shehar mein kya kya gori hai , mehtaab rukhey gulnaar labbey Kuch baat thi uss ki baatoo’n mein,kuch bhaid they uss ke chitwan mein Wuhi bhaid ke joat jagaatey hain , kisi chahney waaley ke mann mein Ussey apna banaey ki dhun mein , hua aap hi aap se begaana Iss basti ke ik koochey mein ik Inshah naam ka Deewana Na chanchal khail jawani ke , na payaar ki al’harh ghaatein thein Bus raah mein unn ka milna tha aur phone pe unn ki baatein thein Iss Ishq pe ham bhi hanstey they , behasil sa behasil tha? Ik roz biphartey sagar mein , na kashti thi na sahil tha Jo baat thi in ke ji mein thi , jo bhaid tha yaksar anjaana Iss basti ek ik koochey mein , ik Inshah naam ka deewana Ik roz magar barkha rutt mein , wo bhaadoon’ thi ya sawan tha Deewar pe beech sumandar ke , yeh dekhney waloo’n ne dekha mastan


Aksar shab-e-tanhai main
2007-11-18 16:12:29
Aksar shab-e-tanhai main ‘ kuch dair pehlay neend say Guzri hui dil-chuspian ‘ Beetay huay din aish kay Buntay hain shama-e-zindagi ‘ Aur daaltay hain roshni Meray dil-e-sud chaak per Woh bachpan aur wo saadgi ‘ Woh rona woh hansna kabhi Phir woh jawani kay mazay ‘ Woh dil lagi woh qehqahay Woh ishq woh ehd-e-wafa ‘ Woh wada or woh shukriya Woh lazzat-e-bazm-e-tarb ‘ Yaad aati hain ik aik sab Dil ka kanwal jo roz-o-shab ‘ rehta shagufta tha so ab Us ka yeh abtar haal hai ‘ Ik sabza-e-pamaal hai Ik phool kumhlaya hua ‘ sookha hua bikhra hua Ronda para hai khak per Yun hi shab-e-tanhai main ‘ Kuch dair pehlay neend say Guzri hui na-kaamiyan ‘ Beetay huay din ranj kay Bantay hain shama-e-baykasi ‘ Or daltay hain roshni Un hasraton ki qabr per Jo aarzooain pehlay theen ‘ Phir gham say hasrat ban gaein Gham doston kay faut ka ‘ Un ki jawan mot ka Lay daikh sheeshay main meray ‘ Un hasraton ka khoon hai Jo gardish-e-ayyam say ‘ Jo qismat-e-nakaam say Ya aish


Ghaflaton kay maray hum
2007-11-18 16:11:22
Roz-o-shab kay melay main Ghaflaton kay maray hum Bus yeh samajhtay hain Jis ko abhi dafnaya hai Bus usi ko merna tha.


Aaj bazaar main pa-bajolan chalo
2007-11-18 16:08:54
Aaj bazaar main pa-bajolan chalo Chashm-e-nam, jaan-e-shoreeda kafi nahin Tohmat-e-ishq-e-posheeda kafi nahin Aaj bazar main paa-bajolan chalo Dast afshan chalo, mast-o-raqsan chalo Khak bar sar chalo, khoon badaman chalo Rah takta hai sub shehr-e-janan chalo Hakim-e-shehr bhi, majma-e-aam bhi Teer-e-ilzam bhi, sang-e-dashnam bhi Subh-e-nashaad bhi, roz-e-naakaam bhi Un ka dum-saaz apnay siwa kaun hai Shehr-e-janaan main ab baa-safa kaun hai Dast-e-qatil kay shayan raha kaun hai Rakht-e-dil bandh lo, dil-figaro.nchalo Phir hameen qatl ho aa’ein yaro chalo  


Ye ab ke khizaan ko kya huwa
2007-11-18 16:07:24
Mein kai ruton sey hoon dekhta keh tamaam rang hein bujhey huwey Ye ab ke khizaan ko kya huwa kiun meri nigah mein thehar gai Mein kya bataaon ke ab ki baar chaman ki haalat ajeeb thi Har phool maatam-sara mila meri jahan jahan bhi nazar gai Ye kon jaaney ke kya huwa mein dhoond dhoond ke thak gaya Ke wo jo aek titli thi baagh mein wo bhi naajaaey kidhar gai Abhi hey zara wo asar jisey meri zaat ney pooja kabhi magar Wo junoon to kab ka khatam huwa wo soorat to dil sey utar gai Mujhey kis jurm ki saza mili ke meri rooh tak hey thaki hui Mein apni jaga sey hilaa nahi meri saans phir bhi ukharr gai Ye chiraagh-e-jaan bhi ajeeb hey ke jala huwa hey abhi talak Teri bewafaai ki aandhiyaan to kabhi ki aa ke guzar gai Merey aasmaan ke haath mein bas aek chaand tha aas ka Usey baadlon ney nigal liya to meri kaaeynaat hi ujarr gai  


MOHABBAT CHOR DI HUM NAY
2007-11-18 16:05:36
Abhi jo laut kar phir tum Hamaray dar pay ayay ho Yeh tum say keh dya kis nay Keh tum bin reh nahi saktay Yeh dukh hum seh nahi saktay Kaha tum say yeh kis nay hai Keh tum bin hum buhat royay hain Raaton ko na soyay hain Sun lo ghoar say janaa Agar beetay huway lamhon ko Tum nay wapis lana hai Hamari zindagi main phir Hamain wapis bulana hai Mujhay afsoos hai janaa Keh tum mayoos lauto gi Agar tum jan’na chaho Kay aisa kyun kia hum nay Yeh dukh kyun seh lia hum nay To sun lo ghor say janaa Puranay ehd-e-raftaa ki Riwayat torr di hum nay MOHABBAT CHOR DI HUM NAY  


Ya hum to alwida keh do!!!!
2007-11-18 16:04:23
Tumhai jana ijazat hai Koi bhi faisla karlo Huamri muntazir thehro Ya hum ko ulwida kehdo Humare naam se munsoob kerdo naam ko apnay Ya apna naam day ker tum kisi ki meet bun jao Tumha jaana ijazat hai Koi bhi raasta chun lo Humaray paoon main toc waqt ki zanjeer lipti hai Buhat nidhaal hain hum to dukhoon ki aazmayish hai Buhat mumkin hai thuk jao humaray saath chal ker tum Mohabbat ki thakawat tum ko hum say badgumaan kerday To is say qabal k har ik wapsi ki raah khoo jayay Jo soocha bhi nahi hum nay kabhi woh, kal hojayay Tumhay jaana ijazat hai ! Koi bhi failsa kerlo ! Humara tum se wada hai tumhari yaad ko hum to Sada dil k dareechay main yunhi abaad rakhaingay K dil rota rahay har pal, laboon ko shaad rakhaiangay Tumhay hum yaad rakhaingay Tumhay jaana ijazat hai Tum apnay hauslon main jab thakawat si kabhi pao Ulajh jao masayil main wafa ko na nibah pao Kisi pyaray say mukhray ki haseen ankhoon main kho jao Ijazat hai tumhay jaana Agar us pal jo tum chaaho Koi bhi faisla karlo H


Yeh meri ana ki shikast hay
2007-11-18 16:03:30
Meray hum-nawa teri bey-rukhi dil-e-mubtala ki shikast hay Isey kis tarah main kahoon fatah yeh meri ana ki shikast hay Tu chala gaya mujhay chohr kar main nay phir bhi tujh ko sadayain deen Meray humsafar tu ruka nahin yeh meri sada ki shikast hay Tujhay laa kay dil main bitha dia, tujhey raaz har ik bata dia Tu nay phir bhi koi wafa naa ki yeh meri wafa ki shikast hay Main chaaragh-e-kuhna mizaaj tha, tujhey bijliyoun ki talab rahi Mujhay aandhiyoun nay bujha dia yeh meri ziaa ki shikast hay Mujhay is tarah naa satao gay , mujhey zoam tha kay naa jao gay Mera ghalat wehm-o-gumaan hee meri intehaa ki shikast ahay Mujhay koi tujh say gilaa nahin, tu mila tha kub? keh bichar gaya Meray jurm ki hay yehi saza yeh meri wafa ki shikast hay Meri khamoshi kay bayaan ko, tu samajh kay bhi naa samajh saka Meray aansooun ka payaam hee dil-e-baynawa ki shikast hay Gham-e-daastaan-e-hayaat kay sub hee tazkirey huay rayegaa’n Meray chaaragar tera yeh hunar, meri hur ada ki shikast hay Mujhay razm


Kaha bhi tha
2007-11-19 16:18:04
Kaha bhi tha Keh manzar to achanak hi badalta hai Kaha bhi tha Keh mausam to achanak hi badalta hai Bataya tha keh pusti ka safar aaghaz ho jaye To kitni ki bulandi ho Ya mansab-e-jah-o-hasti ho Bus aik hi lamhay main Haan bus aik hi lamhay main sub hi kuch Is tarha say khatam ho jata hai Keh jesay aag pani say Keh jesay koi shehzada nikal jaye kahani say Kaha bhi tha keh hamari baat ko bayshuk tum na mano Magar kul tum hi mano gay Bataya tha keh charagh aandhi say bujh jain To aankhon main diye kuch timtimaatay hain Sitaray maand per jain to sooraj khud nikalta hai Koi mun-zor girta hai Koi gir ker sambhalta hai Kaha bhi tha keh her manzar ka pus-manzar bhi hota hai Gur deewar bun jaye to us main dar bhi hota hai Kaha bhi tha keh her mausam kay daaman main Naye mausam bhi to hotay hain Jahan koi nahin hota wahan per hum to hotay hain Bataya tha keh her aaghaz ka jis mor per anjaam hota hai Usi anjaam say aik raasta aagay nikalta hai Wahaeen manzar badalta hai


Sapna Aagay Jata Kesay
2007-11-19 16:08:48
Chota Sa Ak Gaoon Tha Jis Main Diyay Thay Kam Or Bohat Andhera Bohat Shajer Thay Thoray Ghar Thay Jin Ko Tha Doori Nay Ghera Itne Bari Tanhaee Thi Jis Main Jagta Rahta Tha Dil Mera Bohat Qadeem Faraq Tha Jis Main Ak Muqarar Hadd Say Aagay Soch Na Sakta Tha Dil Mera Ease Sourat Main Pher Dil Ko Dheyaan Aata Kis Khowab Main Tera Raaz Jo Hadd Say Baher Main Tha Apna Aap Dekhata Kesay Sapnay Ke Bhi Hadd Thi Aakher Sapna Aagay Jata Kesay  


Un haseen aankhon ki wehshaton se kehdena
2007-11-19 16:04:33
Un haseen aankhon ki wehshaton se kehdena Hum jo aasmaan hotey Un ko mah ro kartey Un udaas aankhon ko roshni se bhar detey Kuch numi ko kum kartey Kuch khushi se bhur detey Hum jo aasman hotey Un fasurda palkoon ki Beqarar larzish ko ….. Mun pasand chehrey ki simt munjamid kartey Ye agr na kar patey Tab ussey khuda kartey Tab ussey sanam kartey….. Us ko murtakiz kar k Khjd ko chaar soo kartey Apni sans kum kar k Us ko daan kar detey Un haseen palkoon k Uthtey jhuktey rehney mein Dharkanoon ko gum kartey.. Ye bhi gar na kar patey Phir bhi kuch to hum kartey Un udaas aankhon ki wehshatoon se kehdena ..!!!  


Do Peher
2007-11-19 16:02:36
Ye jeet-haar to is daur ka muqaddar hai Ye daur jo ke puranaa nahin nayaa bhi nahin Ye daur jo ke sazaa bhi nahin jazaa bhi nahin Ye daur jiska ba-zaahir koi Khudaa bhi nahin Tumhari jeet ah’m hai na meri haar ah’m Ke ibtidaa bhi nahin hai ye intihaa bhi nahin Shuru ma’arka-e-jaan abhi hua bhi nahin Shuruu ho to ye hangaam-e-faislaa bhi nahin Payaam zair-e-lab ab tak hai Suur-e-Israafiil Sunaa kisi ne kisi ne abhi suna bhi nahin Kiya kisi ne kise ne yaqin kiya bhi nahin Uthaa zamin se koi, koi uthaa bhi nahin Qadam-qadam par diye hain vo rahzanon ne fareb Ke ab nigaah mein tauqeer-e-rahnuma bhi nahin Use samajhte hain manzil jo raastaa bhi nahin Vahaan lagaate hain Deraa jahaan vafaa bhi nahin Ye kaarvaan hai to anjaam-e-kaarvaan maaluum Ke ajnabi bhi nahin koi aashnaa bhi nahin Kisi se Khush bhi nahin hai koi Khafaa bhi nahin Kisi kaa haal koi mur ke puuchtaa bhi nahin  


Ussi Aik Furd kay wastay
2007-11-19 16:00:31
Ussi Aik Furd kay wastay Meray Dil mein Durd hai kis liye Meri Zindagi ka Mutalba Wohi aik Furd hai Kiss liye Tu ju Shehr mein hee Moqeem hai tu Musafirat ki Fiza hai kyoon Tera Karwa’n jo nahi gaya tu Hawa mein Gurd hai kis liye Na Jamal-o Husn ki buzm hai Na Junoon-o Ishq ka Azm hai Sur-e-Dusht-e-Rukhs mein Hur Gahri ko baad gurd hai kis liye Teray Husn say ye Pata chala Tujhay Dekh kur ye Khabr hoee Jahan Rasta hee nahi koi Wahan Rah Nord hai kis liye Jo Likha hai Meray Naseeb mein kahin Tu nay parh tu nahi liya Tera Haath Surd hai kis liye, Tera Rung Zurd hai Kis liye Wo Turk-e Rubt ka Ehud tha Kahin Tootnay tu nahin laga Teary Dil kay Durd ko Dekh kur, Meray Dil mein Durd hai kis liye Koi Wasta jo Nahin Raha Teri Aankh mein Ye Nami hai Kyoon Meray Ghum ki Aag ko Dekh kur, Teri Aah Surd hai Kis liye….


Yeh kabhi kisi ko khabar na ho
2007-11-19 15:59:14
Wo bujhey gharon ka chiragh tha yeh kabhi kisi ko khabar na ho usey le gai hai kahan hawa’ yeh kabhi kisi ko khabar na ho Kai log jaan se jayein gey merey qatiloon ki talash main Merey qatl main mera haath tha’ yeh kabhi kisi ko khabar na ho Wo tamaam duniya ke wastey jo muhabaton ki misaal tha Wohi apney ghar mein tha bewafa yeh kabhi kisi ko khabar na ho Kaheen masjidon main shahadatain kaheen mundiron main adaalutain Yahan kon kerta hai faisla yeh kabhi kisi ko khabar na ho Merey pass jitni hai roshni yehi hai chiragh ki zindagi Mein kahan jala mein kahan bujha yeh kabhi kisi ko khabar na ho Mujhe jaan kar koi ajnabi wo dikhla rahey hain gali gali Isi sheher mein kabhi mera ghar bhi tha yeh kabhi kisi ko khabar na ho Wo samajh ke dhoop ka dewta mujhe aaj poojney aaye hain … Main charagh hoon teri shaam ka yeh kabhi kisi ko khabar na ho..


Kuch bhee naheen!
2007-11-19 15:38:47
Socha naheen accha bura Dekha suna kuch bhee naheen Manga khuda say raat din… Teray siwa….. Kuch bhee naheen! Dekha tujhey chaha tujhey Socha tujhey pooja tujhey Meri wafa meri khata…. Teri khata kuch bhee naheen! Jis par hamari aankh nay Moti bichaye raat bhar Bheja wohee kaghaz usay Ham nay likha…… Kuch bhee naheen Ek shaam kee dehleez per Baithay rahay woh dair tak Aankhon say kee batain bohat Munh say kaha…..kuch bhee naheen! Do chaar din kee baat hay Dil khak mein mil jaeyey ga Jab Aag per kaghaz rakha Baqi bacha ….. Kuch bhee naheen  


Qismat ka likha
2007-11-19 15:36:19
Kahin tum apni qismat ka likha tabdeel kar lete To shaid hum bhi apna raasta tabdeel kar lete Agar hum waqi kam hosla hote muhabbat mein Marz bahrne se pehle hi dawa tabdeel kar lete Tumhare saath chalne per jo dil razi nahin hota Buhat pehle hum apna faisla tabdeel kar lete Tumhe in mausamoo ki kya khaber milti agar hum bhi Ghutan ke khof se aab-o-hawa tabdeel kar lete Tumhari tarah jeene ka huner aata to phir shaid Makan apna wohi rakhte pata tabdeel kar lete Wohi kirdaar hain taza kahani mein jo pehle bhi Kabhi chehra kabhi apni qaba tabdeel kar lete Judai bhi na hoti zindagi bhi sehel hojati Jo hum ek dosre se masla tabdeel kar lete Hamesha ki tarah isbaar bhi hum bool uthe warna Gawahi dene wale, waqiyat tabdeel kar lete Buhat dhundla gaya yaadon ki rim jhim mein sada dil Woh mil jata to hum yeh aaiyna tabdeel kar lete.


Page 1 of 1 « < 1 > »
eXTReMe Tracker